प्रिय दोस्तों! हमारा उद्देश्य आपके लिए किसी भी पाठ्य को सरलतम रूप देकर प्रस्तुत करना है, हम इसको बेहतर बनाने पर कार्य कर रहे है, हम आपके धैर्य की प्रशंसा करते है| मुक्त ज्ञानकोष, वेब स्रोतों और उन सभी पाठ्य पुस्तकों का मैं धन्यवाद देना चाहता हूँ, जहाँ से जानकारी प्राप्त कर इस लेख को लिखने में सहायता हुई है | धन्यवाद!

Sunday, July 28, 2019

Barson ke baad dekha ek shakhs dilruba sa - Ahmad Faraz

Barson ke baad dekha ek shakhs dilruba sa
ab zehan mein nahin hai, par naam tha bhala sa.

Abro khinche khinche se, aankhen jhuki jhuki si
baaten ruki ruki si, lehja thaka thaka sa.

Alfaaz the ki jugnu aawaz ke safar mein
ban jaaye jungalon mein jis tarah raasta sa.

Khwaabon mein khwaab uske, yaadon mein yaad uski
neendon mein ghul gya ho jaise ki rat-jaga sa.

Pehle bhi log aaye kitne hi zindagi mein 
woh har tarah se lekin auron se tha judaa sa.

Kuchh ye ki muddaton se hum bhi nahin the roye
kuchh zehar mein ghula tha ahbaab ka dilasa.

Phir yun hua ki saawan aankhon men aa base the 
phir yun hua ki jaise dil bhi tha aablaa sa.

Ab sach kahen toh yaaro hum ko khabar nahin thi
ban jayega qayaamat ek waaqiya zara sa.

Tewar the be’rukhi ke, andaaz dosti ka
woh ajnabi tha lekin lagta tha aashna sa.

Hum dasht the ki dariya, hum zehar the ki amrit
naa’haq the zaam hum ko, jab woh nahin tha pyaasa.

Humne bhi usko dekha kal shaam ittefaaqan
apna bhi haal hai ab logo ‘Faraz’ ka sa .!!

No comments:

Post a Comment

लिनक्स OS क्या है ? लिनेक्स कई विशेषता और उसके प्रकारों के बारे में विस्तार समझाइए ?

 लिनक्स OS  क्या है ? लिनेक्स कई विशेषता और उसके प्रकारों  के बारे में विस्तार समझाइए ? Content: 1. लिनक्स OS  क्या है ? 2. कुछ प्रसिद्द लिन...